Friday, July 25, 2008

ahsaas

maine pichli baar prayaas ya koshish ki baat ki aaj main ahsaas ki baat karna chahta hoon kyonki kisi bhi prayas ke safal hone ya na hone me aapke us karya ke prati laggav aur josh ki bhaavna ke ahsaas ka kafi yogdaan hota hai.ye tay karta hai ki aap apne kartavya ke prati kitne imaandaar aur sajag hain.baat badi choti hai par gaur pharmaya jaye to agar hum safalta ko bargad ka vishal vriksha maane to ye ahsaas us vriksha ki jad.
"ahsaas jindagi hai aur jindagi ahsaa,ahsaas na ho to hum usoolon ka kya karen, ahsaas banata hai aadmi ko aadmi"

Thursday, July 24, 2008

prayas

vishwartan kya hai ek soch vishwa ke parivartan ki jaisa ki parivartan avashyambhavi hai aur use koi rok nahi sakta par uski disha sahi honi chahiye anyathya parivartan trasdi ki aur badh sakta par parivartan ek badi hi dheemi prakriya ka naam hai isme ki gayi jaldi bhi iski disha ko badalne ka samarthya rakhti hai isliye jaroori hai ki hum sahi rasta sahi soch aur sahi veg yaani gati ke saath prayas karen aur yahi lakshya hai vishwartan ki shuruat ka .ye har us insaan ki urja ko sarthak karne ke liye banaya gaya hai jo sansar ko vikas ke maarg par le jaane ke liye prayaas karna chahta hai par shuruat kahan se ho shayad khud se, uske baad parivaar,aas pados,karyalaya vidyalaya ya des par aage badhne ke liye chalna jaroori hai aur jeetne ke liye har kadam pichle se majboot rakhna humne kadam badhaya hai aap saath nibhaye ."har prayaas me ek aas hoti hai ,majboot ho shruaat to soch kuch khaas hoti hai"